
Aaj ki mulakaat jaise ki
Aakhiri mulakaat thi,
Kuchh sune sunaye lafz they,
Kuchh nayi – nayi si baat thi.
Kahna tha bhut kuchh,
Par wakt Kam tha yakinan
Ish baat ki bhi malaal thi.
Hairan thi aankhon me dekhkar
Chamak uski;
Khubsurti aankhon ki uski
Kuchh u bemisaal thi,
Anchuwa sa tha ahsaas uska
Par mai hoon sada tumhare ussi chand ki tarah
Dil se nikli kuchh aisi awaaz thi….
Aaj ki mulakaat jaise ki aakhiri mulakaat thi…
Leave a comment